Quran
Aur aap (aay Nabi!) gharbi jaanib nahien thay jab Hum ne Moosa ko hukam bhaija aur na uss waqayay ko daikhanay waalay thay laikin Hum ne bohat se naslein paida kein phir un per muddat daraaz guzri aur tu (aay Nabi!) madyan waloon mein nahein rehta tha k unhein Humari aayatein sunaata laikin hum rasool bhaijatay rahay aur tu (aay Nabi!) tuur k kinaaray per na tha jab Hum ne awaaz di laikin tairay Rab ka yeh in’aam hai takay un logoon ko daraayay jin k paas tujh se pehlay koi daraanay waala nahein aaya, takay wo nasehat hasil karein.” ( Surah Qasas, 28:44-46 )
Quran
Aur tumhein (aay Nabi!) umeed na thi k tum per kitaab utaari jayay gi magar tumhaaray Rab ki meharbaani hue phir tum hargiz kafiroon ki taraf-daari na kerna.” ( Surah Qasas, 28:86 )
Quran
yaani tuur per jab Hum ne Moosa (‘alaihi ssalaam) se kalaam kia aur ussay wahi aur risaalat se nawaaza to aay Mohammed (ﷺ) ! tu na wahaan mojood tha aur na yeh manzar daikhanay waloon mein se tha balkay ye ghaib ki wo baatein hein jo Hum wahi k zareyay tujhay batlaa rahay hein jo iss baat ki daleel hein k tu Allah ka sacha paighambar hai kiunki na tu nay yeh baatein kisi se seekhi hein na khud hi in ka mushaahida kia hai. yeh mazmoon aur bhi kayee jaga bayaan kia gaya hai. mazeed hawaala-jaat k liay daikheyay ( Al-Imran:44 ), ( Yunus:16 ), ( Hood:49 ), ( Yusuf:3’102 ), ( Al-Zuhaa:7(ﷺ) us waqt hazir-o-nazir na thay).

Jo hai Allah uss ko maananay ki tofeeq ata farmayay, aur jo ghalat hai usay humaaray dilon say nikaal day. Aur agar iss post mein koi ghalati hai to Allah usay theek kernay ki tofeeq ata farmaayay, aameen. Alhamdulillaah.

BISMI ALLAHI ALRRAHMANI ALRRAHEEMI
  1. Nabuwwat se pehlay ka Zamaana.
  2. Nabi bananay se lay ker Faut honay tak ka Zamaana
Allah nay guzashta-o-ainda k bay-shumaar waqi’aat, barzakh aur qabar k haalaat, maidaan-e-mahshar k naqshay, jannat aur dozakh ki kaifiat, al-gharz wo tamaam uloom jo Aap (ﷺ) k shayaan-e-shaan thay, wo sab Aap (ﷺ) ko ata kiay aur un ka andaaza Allah k siwa kisi ko nahein. aur makhlooq k mehdood ilm ko Allah k ghair-mehdood ilm k saath koi nisbat nahein. yahi waja hai k Quran mein jaga jaga ‘aalim-ul-ghaib ka lafz Allah ki khaas sift k toor per zikar kia gia hai aur bohat si jaga Rasool (ﷺ) se ‘aalim-ul-ghaib honay ki nafi ki gae hai aur yeh lafz Quran-o-Hadeeth mein kahein nahein ayaa k Rasool Allah (ﷺ) ‘Aalim-ul-Ghaib hein.

isi tarha bohat se ahadeeth mein bhi yeh mazmoon irshaad hua hai. un ayaat-o-ahadeeth ko naqal kia jayay to uss k liay aik zakheem kitaab bhi kafi nahein hogi aur ulima-e-haq ka yahi maslak hai k Allah k siwa kisi ko ‘aalim-ul-ghaib kehna durust nahein:

Quran
Keh do k Allah k siwa aasmaanoon aur zameen mein koi bhi ghaib ki baat nahein jaanta aur unhein iss ki bhi khabar nahein k wo kab uthaayay jayein gay.” ( Surah Namal, 27:65 )
Umm-ul-Mu’mineen Hazrat A’isha Siddiqah (R.Ah) ka irshaad hai ke : jo shakhs yeh kahay k Rasool (ﷺ) ghaib jaantay thay uss nay Allah per buhtaan baandha. ( Bukhari, Kitaab-ul-Tafseer (Surah wa-Najam), H.#4855 )

ab Quran aur Ahadeeth ki kitaaboon se kuch hawalaa-jaat iss silsilay mein darj kiay jaatay hein.

Quran ki Roshni me
Proof #01
Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) per ifk ka muamala, jis ki haqeeqat ka Rasool (ﷺ) ko wahi se pehlay ilm na hua. ( Surah Noor, 24:16-26 ‘ Bukhari, Kitaab Al-Maghaazi, H.#4141)
Proof #02
Shehed ka waqi’a jis mein Rasool (ﷺ) ki do bewioon nay mansooba-bandi ki aur us k natejay mein Rasool (ﷺ) nay apnay ooper shehed haraam farma lia, baad mein Allah ne Aap (ﷺ) ko saari baat bata di. ( Surah Tehreem, 66:1-4.| Bukhari, Kitab-ul-Tafseer, H.#4912,5267,5268 )
Proof #03
Hum nay kuch paighambaroon ka haal tujh se bayaan kia , kuch ka na kia. ( Surah Nisa, 4:164 )
yaad rahay k Quran mein to sirf 25 anbia-o-rusl ka zikar aur un ki qoomoon k halaat bayaan kiay gayay hein, jab-k anbia ki kul taadaad bohat ziada hai.
Proof #04
Paighambaroon se Allah poochay ga tumhein kia jawaab mila? wo kahein gay humein pata nahein hai. ( Surah Maidah, 5:109 )
Proof #05
Allah k siwa kisi ko pata nahein k wo kab uthaayay jayein gay. ( Surah Namal, 27:65 )
Proof #06
5 ghaib Allah k siwa koi nahein jaanta. ( Surah Luqmaan, 31:34 )
Proof #07
Qayamat k waqt ka Rasool (ﷺ) ko pata nahein. ( Surah Ahzab, 63 ), ( Surah Shoora, 17 ), ( Surah A’raaf, 187 ), ( Surah Ta-Ha, 15 ), ( Surah Namal, 65 ), ( Surah Luqman, 34 ), ( Surah Fussilat, 47 ), ( Surah Zukhruf, 85 ), ( Surah Mulk, 25-26 )
Proof #08
Aap (ﷺ) nay wafaat se aik mah pehlay farmaya qayamat k waqt ka ilm sirf Allah ko hai. ( Muslim, H.#2538 )
Proof #09
Allah k lashkaroon ko Allah k siwa koi nahein jaanta. ( Surah Muddassir, 74:31 )
Proof #10
Abdullah bin Umm-Maktoom (may Allah be pleased with him) naabeena sahabi ka qissa aur wahi. ( Surah ‘abasa, 80:1-12 )
Proof #11
Madina aur us k ird-gird kuch munafiq hein, nifaaq per aray huay, aap un ko nahein jaantay, Hum jaantay hein. ( Surah Taubah, 9:101 )
Hadith ki Roshni me
Proof #01
Rasool Allah (ﷺ) ka aasmaanoon per tashreef lai jaana aur Jibreal (‘alaihi ssalaam) se baar baar pochna yeh koon hein. paanch dafa poocha yeh koon hein. phir mujhay Jibreal (‘alaihi ssalaam) sidra-tul-muntahaa tak lai gayay jis k rangon ka mujhay ilm nahin k kaisay hein. ( Bukhari, Kitaab As-Salaah, H.#349’4233 ), ( Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#163 )
Proof #02
Rasool Allah (ﷺ) nay farmaaya: “mein nay khuwaab mein daikha k aik aadmi bait-ullah ka tawaaf ker raha hai. Maine poocha yeh koon buzurg hein to Farishtoon nay bataaya k yeh Maseeh ibn Maryam (‘alaiha ssalaam) hein phir Meine aik shakhs ko tawaaf kertay daikha maine poocha yeh koon hein? Farishtoon nay bataaya yeh dajjaal hai.” ( Bukhari, H.#6999 ), ( Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#169 )
Proof #03
Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) nay farmaya k jo shakhs bhi tum se yeh 3 baatein bayan karay wo jhoota hai k: 1. Rasool Allah (ﷺ) nay apnay Rab ko daikha 2. Rasool Allah (ﷺ) aanay waalay kal ki bat jaantay hein aur 3. jo kahay k Rasool Allah (ﷺ) nay tabligh-e-deen mein koi baat chupaee thi. ( Bukhari, Kitaab Al-Tafseer (Surah wa-Najam), H.#4855 ), ( Muslim, Kitaab Al-Emaan, H.#177 )
Proof #04
Rasool Allah (ﷺ) nay farmaya: “dozakh mein aankray hoon gay, un k tool-o-arz ko siwayay Allah k koi nahein janta.” ( Bukhari, H.#6573 ), ( Muslim, Kitaab Ul-Emaan, H.#182 )
Proof #05
fatah makkah k moq’ay per Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein Hazrat Umm-u-Haani (may Allah be please with her) hazir huein. wo bayan kerti hein k Aap (ﷺ) ghusl ker rahay thay aur aap ki baiti Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) parda kiay huay thein, Maine Aap (ﷺ) ko salaam kia. Rasool Allah (ﷺ) ne poocha koon hai? Maine bataya k mein Umm-u-Haani hoon. ( Bukhari, Kitab Al-Ghusl, H.#280 )
Proof #06
Aik safar mein Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) ka haar gum ho gayay. Rasool Allah (ﷺ) aur loog Aap (ﷺ) k saath thaher gayay. Hazrat A’isha (may Allah be please with her) k walid-majid bohat khafa huay, baad mein uss oont ko khara kia gaya jis per Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) sawaar thein to haar usi k neechay se mil gaya. ( Bukhari, H.#334,3672 ), ( Muslim, Kitaab Al-Haiz, H.#367 )
Proof #07
Aap (ﷺ) k marz-ul-wafaat mein jab aap ka marz berh gayay to aap baar baar bay-hoosh huay, jab hoosh aata to farmatay kia logoon nay namaaz perh li hai? arz kia jaata nahein, loog Aap (ﷺ) ka intizaar ker rahay hein. aisa 3 baar hua. ( Bukari, Kitaab Ul-Azaan, H.#687 ), ( Muslim, Kitaab Us-Salaah, H.#418 )
Proof #08
Rasool Allah (ﷺ) nay 40 ya 70 quran k aalim sahaba ki aik jamat mushrikeen k paas bhaiji thi, unhoon nay un ko shaheed ker daala. Rasool Allah(ﷺ) bohat ranjeeda aur ghamgeen huay. ( Bukhari, Kitaab Ul-Witr, H.#1001,1300 )
Proof #09
Rasool Allah (ﷺ) soyay rahay, Hazrat Abu Bakar (may Allah be please with him), Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) bhi soyay rahay, sooraj poori tarha nikal aaya aur subh ki namaaz waqt per na perh sakay. ( Bukhari, H.#595 ), ( Muslim, H.#680,681 )
Proof #10
Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) farmati hein k Rasool Allah (ﷺ) mairay paas ayay. us waqt aik aurat mairay paas baithi thi. Aap (ﷺ) nay yeh daryaaft farmaya: “yeh koon hai ?” Maine arz kia falaa_n aurat hai. ( Bukhari: H.#1151 )
Proof #11
Hazrat A’shia (may Allah be pleased with her) nay bayan kia k jab Rasool Allah (ﷺ) badal ka koi aisa tukra daikhtay jis se barish ki umeed hoti to Aap (ﷺ) k chehra-e-mubarak ka rang badal jata aur farmaatay mein nahein jaanta mumkin hai yeh badal bhi waisa hi ho jis k baaray mein qoom-e-‘aad ne kaha tha k yah badal hum per barasnay wala hai, halaankay us mein dard-naak azaab tha. ( Bukhari: H.#3206 )
Proof #12
Aik dafa sooraj-girehen hua to Aap (ﷺ) bohat ghabraa ker uthay, iss dar se k kahein qayamat na qaim ho jayay. ( Bukhari: H.#1059 ), ( Muslim, H.#912 )
Proof #13
jab Aap (ﷺ) ki baiti Hazrat Zainab (may Allah be pleased with her) ki wafaat hue to Aap (ﷺ) tashreef layay aur farmaya: “ghusl se farigh honay per mujhay khabar daina.” phir ghusl se farigh honay k baad Aap (ﷺ) ko khabar di gae. ( Bukhari: H.#1254,1258 ), ( Muslim, H.#939 )
Proof #14
aik sahabi ya sahabiah faut ho gae laikin Rasool Allah (ﷺ) ko uss ki wafaat ki khabar kisi nay na di. aik din Aap (ﷺ) nay khud yaad farmaya k wo shakhs dikhae nahein daita. sahaba (may Allah be pleased with them all) nay kaha uss ka to intiqaal ho gaya. Aap (ﷺ) nay farmaya: “phir tum nay mujhay khabar kiun na di, chalo mujhay uss ki qabar bata do.” ( Bukhari: H.#458 ), ( Muslim, H.#956 )
Proof #15
Hazrat AbuZar Ghaffari (may Allah be pleased with him) nay daikha Rasool Allah (ﷺ) raat ko akailay chal rahay thay, Hazrat AbuZar (may Allah be pleased with him) Rasool Allah (ﷺ) k peechay chalnay lagay. uss k baad Rasool Allah (ﷺ) muray, AbuZar (may Allah be pleased with him) ko daikha aur daryaft farmaya: “koon hai ?” janab AbuZar (may Allah be pleased with him) nay arz kia AbuZar. ( Bukhari: H.#6443 )
Proof #16
2 auratein Aap (ﷺ) k darwazay per ayein, un k saamnay se Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) guzray. unhoon ne Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) se kaha humaray liay yeh masala Rasool Allah (ﷺ) se poochein aur humara naam na laina. Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) andar gayay aur Rasool Allah (ﷺ) se arz kia k 2 auratein yeh masala daryaft kerti hein. to Rasool Allah (ﷺ) nay farmaya: “yeh donoo koon hein?” Bilal (may Allah be pleased with him) nay arz kia Zainab naam ki hein. Aap (ﷺ) nay farmaya: “koon si zainab ?” ( Bukhari: H.#1466 ), ( Muslim, H.#1000 )
Proof #17
Rasool Allah (ﷺ) nay farmaya: “mein apnay ghar jata hoon, wahaan mujhay mairay bistar per khajoor pari hue milti hai, mein usay khaanay k liay utha laita hoon laikin phir yeh dar hota hai k kahein yeh sadqa ki khajoor na ho to mein usay phaink daita hoon.” ( Bukhari: H.#2432 ), ( Muslim, H.#1070 )
Proof #18
Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein koi khaanay ki cheez layee jaati to Aap (ﷺ) daryaft farmatay yeh tuhfa hai ya sadqa. agar kaha jata k sadqa hai to Aap (ﷺ) apnay ashaab se farmatay k khaoo. ( Bukhari: H.#2576 ), ( Muslim, H.#1077 )
Proof #19
Rasool Allah (ﷺ) nay farmaya: “mujhay laila-tul-qadr dikhae gae laikin phir bhulwa di gae.” ( Bukhari: H.#2016 ), ( Muslim, H.#1167 )
Proof #20
hajj k moq’ay per Rasool Allah (ﷺ) makkah mein Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) jyahaan tashreef layay, wo ro rahi thein. Aap (ﷺ) nay daryaft farmaya k kiun ro rahi ho? Maine arz kia Allah ki qasam! meine iss saal hajj nahein kia. Aap (ﷺ) nay poocha shayad k to haiza ho gae hai? maine kaha haan!. ( Bukhari: H.#305 )
Proof #21
hajj k moq’ay per Rasool Allah (ﷺ) nay sahaba ikraam (may Allah be pleased with them all) se farmaya: “tum halaal ho jao, agar mujhay wo baat pehlay maloom ho jati jo baad mein maloom hue to mein qurbani ka janwar saath na lata.” ( Bukhari: H.#1568 ), ( Muslim, H.#1216 )
Proof #22
fatah makkah k din aik shakhs ne aa ker khabar di k ibn Khattal ghalaaf-e-kaaba k pardoon se latak raha hai. Aap (ﷺ) nay farmaya k ussay qatal ker do. ( Bukhari: H.#3044 ), ( Muslim, H.#1357 )
Proof #23
Rasool Allah (ﷺ) nay Hazrat Abd-ul-Rahman bin ‘Ouf per zardi ka nishaan daikha to poocha ye kiya hai? Unhon nay arz kia k maine nikah kia hai. ( Bukhari: H.#5155 ), ( Muslim, H.#1426 )
Proof #24
Ghazwa-e-Khaibar k waqt Rasool Allah (ﷺ) k paas Hazrat Dihya (may Allah be pleased with him) aayay aur arz ki k mujhay koi baandi inaayat kijeyay. Aap (ﷺ) nay farmaaya jao baandi lay lo. Unhon nay safiya bint-e-huyayye ko lay liya. Phir aik shakhs Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein hazir hua aur arz ki k aay Allah k Rasool! Safiya to sardaar ki baiti hai, unhein Aap (ﷺ) nay Dihya (may Allah be pleased with him) ko day diya, wo to sirf aap hi k liay munaasib thein. Iss per Aap (ﷺ) nay farmaaya k Dihya ko safiya k saath bulao. Wo laayay gayay, jab Rasool Allah (ﷺ) nay unhein daikha to farmaaya k qaidyon mein say koi aur baandi lay lo. Phir Aap (ﷺ) nay Hazrat Safiya (may Allah be pleased with her) ko azaad ker diya aur unhein apnay nikah mein lay lia. ( Bukhari: H.#371 ), ( Muslim, H.#1365 )
Proof #25
Sahaaba Ikraam (may Allah be pleased with them all) nay qaidi auraton say ‘azl kia phir unhon nay Rasool Allah (ﷺ) say iss ka hukam poocha to Aap (ﷺ) nay farmaaya: “kiya tum waqa’e aisa kertay ho?” teen martaba ye farmaaya. ( Bukhari: H.#5210 ), ( Muslim, H.#1438 )
Proof #26
Rasool Allah (ﷺ) Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) k ghar tashreef laayay to wahan aik sahib baithay huay thay. Aap (ﷺ) nay daryaaft farmaaya Aisha! Ye koon hai? Mein nay arz kia ye maira razae bhai hai. ( Bukhari: H.#2647 ), ( Muslim, H.#1455 )
Proof #27
Hazrat Jabir bin Abdullaah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein nay shaadi ki to Rasool Allah (ﷺ) nay mujh say daryaaft farmaaya k kis say shaadi ki hai? Mein nay arz kia aik baiwa aurat say. Aap (ﷺ) nay farmaaya kanwaari say kiun na ki? Mein nay arz kia mairay waalid shaheed ho gayay aur unhon nay kae larkian choori hein, iss liay maine ye pasand nahein kia k un k paas unhi jaisi larki biyah laoon, iss liay mein nay aik aisi aurat say shaadi ki hai jo un ki daikh-bhaal ker sakay. ( Bukhari: H.#2097 )
Proof #28
Rasool Allah (ﷺ) k saamnay aik sahaabi nay shikaayat ki k uss nay apni beewi ko aik ghair mard k saath tanhai mein paaya aur Rasool Allah (ﷺ) say arz kia k iss muamlay ka faisla farma dein. Phir Rasool Allah (ﷺ) nay dua ki k aay Allah! Iss muamlay ko saaf ker day chunaachay uss aurat nay bacha ussi mard ki shakal ka jna jis k mutalliq shoohar nay dawa kia tha k ussay unhon nay apni beewi k saath paaya tha. Rasool Allah (ﷺ) nay miyaan-beewi k darmian la’an karaaya. ( Bukhari: H.#5316 ), ( Muslim, H.#1497 )
Proof #29
Hazrat Jabir bin Abdullah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein aik martaba bemaar para, Rasool Allah (ﷺ) aur Abu Bakr (may Allah be pleased with him) paidal mairi ‘ayaadat ko tashreef laayay. Mein nay arz kia aay Allah k Rasool! Mein apnay maal mein kiya karon, kis tarha iss ka faisla karon? Rasool Allah (ﷺ) nay mujhay koi jawab na diya, yahan tak k meeraas ki ayat nazil hue. ( Bukhari: H.#4577 ), ( Muslim, H.#1616 )
Proof #30
Hazrat Nauman bin Basheer (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k un k waalid unhein Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein laayay aur arz kia k mein nay apnay iss baitay ko aik ghulam batoor-e-hiba diya hai. Rasool Allah (ﷺ) nay daryaaft farmaaya kiya aisa hi ghulam doosray larkon ko bhi diya hai.? unhon nay jawab diya k nahein to Aap nay farmaaya phir wapis lay lay. ( Bukhari: H.#2586 ), ( Muslim, H.#1623 )
Proof #31
Aik qabeelay k 8 afraad Rasool Allah (ﷺ) k paas aayay aur aap say islam per bai’t ki, wo bemaar per gayay to aap nay un say kaha humaaray charwaahay k saath uunton mein chalay jao, uunton ka doodh aur paishaab piyo. Wo gayay, uunton ka doodh aur paishaab piya aur sehat-mand ho gayay. Phir unhon nay Rasool Allah (ﷺ) k charwaahay ko qatal ker diya aur jaanwar bhaga ker lay gayay. Iss ki itlaa’ tab Rasool Allah (ﷺ) ko pohanchi to aap nay un ki talaash mein aadmi bhaijay, wo pakray gayay aur laayay gayay. Rasool Allah (ﷺ) nay un ko saza di. ( Bukhari: H.#3018 ), ( Muslim, H.#1671 )
Proof #32
Jang-e-Badar k din 2 larkon nay apni talwaarein sanbhaalein aur abu-jahl per jhapat paray aur hamla ker k uss ko qatal ker daala. Iss k baad Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir ho ker Aap (ﷺ) ko khabar di. Rasool Allah (ﷺ) nay poocha k tum donon mein say kis nay usay maara? Donon nojawaanon nay kaha k maine qatal kia hai to Aap (ﷺ) nay un say poocha kiya tum nay apni talwaarein saaf ker li hein?. unhon nay arz kiya k nahein, phir Rasool Allah (ﷺ) nay donon talwaaron ko daikha aur farmaaya k tum donon hi nay usay maara hai. ( Bukhari: H.#3141 ), ( Muslim, H.#1752 )
Proof #33
Jab Rasool Allah (ﷺ) ghazwa-e-khandaq say wapis huay aur hathyaar rakh ker ghusl kia to Jibreel (‘alaihissalaam) Aap (ﷺ) k paas aayay aur wo apnay sar say ghubaar jhaar rahay thay. unhon nay Rasool Allah (ﷺ) say kaha Aap nay hathyaar rakh diyay, Allah ki qasam! Abhi maine hathyaar nahein utaaray, aap ko un per fooj-kashi kerni hai. Rasool Allah (ﷺ) nay daryaaft farmaaya k kin per? To unhon nay banu-quraizah ki taraf ishaara kia. ( Bukhari: H.#4117 ), ( Muslim, H.#1769 )
Proof #34
Jang-e-Badar k din Rasool Allah (ﷺ) nay farmaaya koon daikh ker aayay ga k Abu-Jahl ka kiya hue hai? Hazrat Ibn-e-Mas’ood (may Allah be pleased with him) ma’loom kernay gayay to daikha k ‘Afraa k donon larkon nay usay qatal ker diya tha aur uss ka jism thanda para hai. ( Bukhari: H.#3962 ), ( Muslim, H.#1800 )
Proof #35
Rasool Allah (ﷺ) Hazrat Maimoonah (may Allah be pleased with her) k ghar mein daakhil huay, unhon nay bhuna hua saandha aap ki khidmat mein paish kiya, aisa bohat kam hota tha k aap kisi khaanay k liay uss waqt tak haath berhaaein jab-tak aap ko uss k mutalliq bata na diya jaayay k falaan khaana hai laikin uss din aap nay bhunay huay saandhay k goosht ki taraf haath berhaaya. Itnay mein wahan mojood auraton mein say aik aurat nay kaha k Rasool Allah (ﷺ) ko bata kiun nahein daitein k iss waqt aap (ﷺ) k saamnay jo tum nay paish kia hai wo saandha hai. Aap (ﷺ) nay apna haath saandhay say hata lia. Khalid bin Waleed (may Allah be pleased with him) boolay aay Allah k Rasool! Kiya saandha haraam hai? aap nay farmaaya: “nahein.” ( Bukhari: H.#5537 ), ( Muslim, H.#1946 )
Proof #36
Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein aik sahib bhookay haazir huay, Aap (ﷺ) nay unhein Azwaaj-e-Mutahharaat k haa_n bhaija (ta-k un ko khaana khila dein) Azwaaj-e-Mutahharaat nay kehla bhaija k humaaray paas paani k siwa kuch nahein hai. iss per Rasool Allah (ﷺ) nay farmaaya k koon in ki mehmaan-nawaazi karay ga? Aik ansaari sahaabi boolay k mein karon ga. ( Bukhari: H.#4889,3798 ), ( Muslim, H.#2054 )
Proof #37
Hazrat Abu Talha (may Allah be pleased with him) Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir huay aur Aap (ﷺ) ko waqi’a ki itlaa’ di. Rasool Allah (ﷺ) nay Hazrat Abu Talha (may Allah be pleased with him) say daryaaft farmaaya: “tum nay raat ham-bistari bhi ki thi?” unhon nay arz kia je haan! Phir aap nay dua ki to Abu Talha (may Allah be pleased with him) k haa_n bacha paida hua, usay Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein laaya gaya. Aap (ﷺ) nay bachay ko lia aur daryaaft farmaaya: “iss k saath koi cheez bhi hai?” kaha gaya haan khajoorein hein. ( Bukhari: H.#5470 ), ( Muslim, H.#2144 )
Proof #38
Hazrat Jabir (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein Aap (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua. Mein nay darwaaza khatkhataaya. Aap (ﷺ) nay farmaaya: “koon hai?” mein nay kaha mein. Aap (ﷺ) nay farmaaya: “mein,mein” jaisay aap (ﷺ) nay iss ko na-pasand farmaaya. ( Bukhari: H.#6250 ), ( Muslim, H.#2155 )
Proof #39
Aik aadmi Rasool Allah (ﷺ) k darwaazay k sooraakh say andar jhaanknay laga, uss waqt aap (ﷺ) k paas loohay ka kanghaa tha, jis say aap (ﷺ) sar jhaar rahay thay. jab Aap (ﷺ) nay usay daikha to farmaaya: “agar mujhay maloom hota k tum (jhaanktay huay) maira intizaar ker rahay ho to mein usay tumhaari aankh mein chubho daita.” Phir Aap (ﷺ) nay farmaaya: “ijaazat lainay ka jo hukam diya gaya wo isi liay hai k nazar na paray.” ( Bukhari: H.#6241 ), ( Muslim, H.#2156 )
Proof #40
Aik yahoodi aurat Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein zehar-mila bakri ka gosht lae, Aap (ﷺ) nay uss mein say kuch khaay phir jab uss aurat ko laaya gaya to uss nay zehar ka iqraar ker lia to kaha gaya k kiun na isay qatal ker diya jaaya? Aap (ﷺ) nay farmaaya: “nahein.” Hazrat Anas (may Allah be pleased with him) kehtay hein k uss zehar ka asar mein nay humaisha Rasool Allah (ﷺ) k taalo mein mehsoos kiya. ( Bukhari: H.#2617 ), ( Muslim, H.#2190 )
Proof #41
Aap (ﷺ) ka taweel khuwaab jis mein aap (ﷺ) nay apna khuwab bayan kertay huay subh sahaaba ikraam (may Allah be pleased with them all) say farmaaya: “raat ko mairay paas do aanay waalay aayay, wo mujhay aik laitay huay shakhs k paas lay gayay. mein nay un dono say poocha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” Mujh say unhon nay kaha aagay berheyay aur hum aik aisay shakhs k paas pohanchay jo peeth k bal laita hua tha. Mein nay kaha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay, phir hum aik tanoor-numa garhay per aayay. Mein nay un donon say poocha: “ye kon loog hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik nehar per aayay. Maine un donon say pocha: “ye kon hai?” unhon nay kaha k aagay chaleyay. Phir hum aik nihaayat bad-soorat aadmi k paas pohanchay. Maine un donon say kaha: “ye kiya hai?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik baagh mein pohanchay. Maine poocha: “ye koon hai? ye bachay koon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik azeem-u-sshaan baagh mein pohanchay. phir unhon nay kaha hum aap ko batayein gay. ( Bukhari: H.#7047 ), ( Muslim, H.#2275 )
Proof #42
Aik raat madina per (aik awaaz sun ker) bara khoof cha gaya. Loog uss awaaz ki taraf berhay laikin Rasool Allah (ﷺ) sab say aagay thay aur aap (ﷺ) hi nay waqe’a ki tehqeeq ki. ( Bukhari: H.#2908,2627 ), ( Muslim, H.#2307 )
Proof #43
Aik yahoodi Rasool Allah (ﷺ) k paas hazir hua aur kaha k Aap (ﷺ) k ashaab mein say aik nay mujhay tamaancha maara hai. Aap (ﷺ) nay farmaaya: “kis nay?” uss nay kaha aik ansaari nay. ( Bukhari: H.#2412 ), ( Muslim, H.#2374 )
Proof #44
Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein nay Rasool Allah (ﷺ) say poocha: sab say shareef koon hai? Aap (ﷺ) nay farmaaya: “jo sab say perhaizgaar hai.” sahaba nay arz kia: hum Aap (ﷺ) say iss k mutalliq nahein poochtay. Aap (ﷺ) nay farmaaya: “phir Allah k Nabi Yusuf bin Nabi ibn-e-Nabi ibn-e-KhaleelilLah.” Sahaba nay kaha: hum iss k mutalliq nahein poochtay. Aap (ﷺ) nay farmaaya: “arab k khaandaanon k mutalliq poochtay ho? Suno! Jahileyyat mein jo shareef thay Islam mein bhi wo shareef hein jab-k deen ki samajh unhein aa jayay.” ( Bukhari: H.#3383 ), ( Muslim, H.#2378 )
Proof #45
Rasool Allah (ﷺ) nay hazrat Moosa (‘alaihissalaam) aur hazrat Khizar (‘alaihissalaam) ka taweel qissa bayan kertay huay farmaaya: Allah Moosa per raham farmaayay! Humaari tamanna thi k Moosa (‘alaihissalaam) kuch dair aur sabar kertay to mazeed waqi’aat un donon k bayan kiay jaatay. ( Bukhari: H.#122 ), ( Muslim, H.#2380 )
Proof #46
Rasool Allaah (ﷺ) nay farmaaya: “mein jannat mein gaya, wahan mein nay aik mahal daikha? Maine poocha ye mahal kis ka hai? farishton nay bataaya ye Umar (may Allah be pleased with him) ka mahal hai.” ( Bukhari: H.#5226,3679 ), ( Muslim, H.#2394 )
Proof #47
Rasool Allah (ﷺ) Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) k ghar tashreef laayay, daikha k Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) ghar mein mojood nahein hein. Aap (ﷺ) nay daryaaft farmaaya: “tumhaaray chacha k baitay kahan hein?” Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) nay bataaya k un k darmiaan kuch na-gawaari paish aa gae aur wo mujh say naraaz ho ker kahein bahir chalay gayay hein aur mairay yahan qeloola bhi nahein kia. Uss k baad Rasool Allaah (ﷺ) nay aik shakhs say kaha: “Ali (may Allah be pleased with him) ko talaash karo k kahan hai?” wo aayay aur bataaya k masjid mein sooyay huay hein. phir aap (ﷺ) masjid mein tashreef laayay. ( Bukhari: H.#441 ), ( Muslim, H.#2409 )
Proof #48
Ghazwa-e-Khandaq k din Rasool Allah (ﷺ) nay farmaaya: “dushman k lashkar ki khabar mairay paas koon laa sakta hai?” Hazrat Zubair (may Allah be pleased with him) nay kaha k mein. ( Bukhari: H.#2846,3719,4113 ), ( Muslim, H.#2415 )
Proof #49
Rasool Allaah (ﷺ) Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) k ghar k aangan mein baith gayay aur farmaaya: “wo bacha kahan hai?” Aap (ﷺ) Hasan (may Allah be pleased with him) k mutalliq pooch rahay thay. ( Bukhari: H.#5884,2122 ), ( Muslim, H.#2421 )
Proof #50
Rasool Allaah (ﷺ) ki baiti ki wafaat hue (Hazrat umm-e-Klsoom (may Allah be pleased with her) jo Usman (may Allah be pleased with him) ki beewi thein aur 9 hijri mein faut huein) aap (ﷺ) qabar per baithay huay thay, Aap (ﷺ) ki aankhon mein aanso bhair aayay. Aap (ﷺ) nay farmaaya: “logo! Koi tum mein say aisa bhi hai jo aaj raat aurat k paas na gaya ho.” Abu Talha (may Allah be pleased with him) nay kaha mein hazir hoon. Aap (ﷺ) nay farmaaya: “to phir utro.” Wo un ki qabar mein utray. ( Bukhari: H.#1342 )
Proof #51
Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) per tuhmat ka mukammal qissa aik taweel H.mein hai. Aap (ﷺ) nay tuhmat k baad Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) aur Osaama bin Zaid (may Allah be pleased with him) say ye sulah ki: “kiya mein Aisha ko choor don.” Aagay jaa ker zikar hai k Aap (ﷺ) nay Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) say farmaaya: “mujhay tairi taraf say aisi aisi khabar pohanchi hai, agar tu paak-daaman hai to Allaah tairi paak-daamni khool day ga aur jo tu phans gae hai to Allah say bakhshish maang, tobah ker.” Ye muamla chalta raha. Aakhir Allaah nay wahi utaar ker Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) ko paak-daaman qaraar diya. ( Bukhari: H.#4141 )
Proof #52
Aik shakhs jo raat ko dafan ker diya gaya, Aap (ﷺ) apnay sahaaba samait kharay huay aur Aap (ﷺ) nay poocha: “ye kis ki qabar hai?” ( Bukhari: H.#1336 )
Proof #53
Rasool Allah (ﷺ) nay farmaaya: “qayaamat k din loog bay-hoosh ho jayein gay, mein bhi bay-hoosh ho jaon ga aur sab say pehlay mujh ko hoosh aayay ga, mein kiya daikhon ga k Moosa (‘alaihissalaam) arsh ka koona thaamay kharay hein. ab mein nahein jaanta k wo bhi bay-hoosh ho ker mujh say pehlay hoosh mein aa jayein gay ya un logon mein say hein jin ko Allah nay bay-hooshi say mustasna rakha hai.” ( Bukhari: H.#6517 )
Proof #54
Usman bin Maz’oon (may Allah be pleased with him) wafaat paa gayay to Aap (ﷺ) nay farmaaya: “Allah ki qasam! Mein Allah ka paighambar hoon magar mein ye nahein jaanta k mairay saath kiya ho ga aur tumhaara kiya haak ho ga. ( Bukhari: H.#7018 )
Proof #55
Rasool Allah (ﷺ) nay 10 aadmion ko jasoosi k liay rawaana kia. Un ka sardaar Hazrat Aasim bin Saabit Ansaari (may Allah be pleased with him) ko banaaya, 7 shaheed ho gayay 3 bach gayay. Unhon nay dua ki k ya Allaah! Humaari khabar humaaray Paighambar (ﷺ) ko pohancha day. Baad mein baaqi do bhi shaheed ho gayay aur Hazrat Khubaib (may Allah be pleased with him) qaidi ban gayay, phir un ko bhi shaheed ker diya gaya. ( Bukhari: H.#3045 )
KUCH SHAK KI WAZAHAT:
Bhaiioon jo baat bata di jae wo Gaib nahi kehlati. or Allah ne Huzoor Ko Bohot si bateen bataen or Wo bateen Huzoor ne Sahaba Ko bataeen

Example: Nabi S.A.W. ka irshad hai 1 Zamana esa aee ga kay loha (Iron) Asmaan per Fly karay gaesi taran bohot si Hadeath hain jis me Huzoor S.A.W ne Qurb-e-Qiyamat Kay Halat Sahaba-e-kiram ko batae hain to kia Sahaba-e-karam ko bhi Gaib ka ilm tha.

  1. Hume ye bhi pata hai kay 1 din Soraj (Sun) maghrib se niklay ga os kay baad tuba kay darwazay Band ho jae gay.
  2. Hume ye bhi pata hai kay Kana Dajjal Ae ga or wo kia kia karay ga kahan kahan larai (Jang) ho gi.
  3. Hume ye bhi pata hai kay Hazrat Mehdi Elissalam ko bhi ana hai.
  4. Hume ye bhi pata hai kay Yajooj Majooj Aen gay.
  5. Hume ye bhi pata hai kay Hazrat Esa Elaissalaam bhi dyuna me tashreef lae gay os kay baad wo yahodioon se jang karay gay.

Is taran to Ham Sab ko hi Gaib ka ilm Hua! . . ???

Mere bhai Gooroo-Fikar Zaroori hai
Behtar yahi hai kay Jo quran w Hadeath me kaha gaya hai us ko man lia jae to Aakhirat me kamyabi hai. apni logic lara ne ka koi faida nahi.

Quran w sunnat pe amal karoo.
kia ye ayaats or ye Hadeath hamaray leye kafi nahi….???

jo in Quran w Hadeath ko nahi man raha Tuba Astgfaaar Karay Kia zamana agaya hai log Quran w Hadeath ko chor kar apni logic Lara rahe hain

Esa nazar aa raha hai.Baat dil me Zaroor mojod hai Per zaban per lanay me Thori Hichkichahat hai Jese Quran w Hadeath Is zamanay key leye Nakafi hain (Noaaozubillah)

Ae Allah apna karam farma Or reham farma ham jese guanh gaar logo per.